Ghadi ki sooiyan intezar ginati hai,
Bheegi palke raat din jagati hai.
Adhure bikhre armaano ko samete,
Ruh khudme jalti hui fanaa ho jati he..
Najro ko talab aisi he ki,
Dil ko har pal ye jalati hai..
Intezaar ki dhoop ki tapish hi he jo ab,
‘Gul’ ko zinda rakh roj khilati he.
Ghane badalo ke saaye me rehkar bhi,
Ye apna aashiyan banati hai..
Ghadi ki sooiyan intezar ginati hai,
Bheegi palke raat din jagati hai..
कोई टिप्पणी नहीं:
एक टिप्पणी भेजें