शुक्रवार, 6 नवंबर 2015

Manchale ki zindagi

Zindagi toh karvate leti hi rahengi,
sukun ki bistar bichhani bhi toh chahiye.
Palakon ke band hone se kya hota hai ,
iss manchale ko neend aani bhi toh chahiye
kis kis ko bataye ye dard zindagi ka
sunane ko ek kahani bhi toh chahiye
nazaro se ashq kitne hi bahenge
ashqon me gam ki zubani bhi to chahiye
kitna hi kare bayan zakhmo ko
baaten ye uski maani jaani bhi toh chahiye
saanso aur dhadkano se kya hota hai
manchale ko zindagi jini aani bhi toh chahiye…….

Share Button
Read Complete Poem/Kavya Here Manchale ki zindagi

कोई टिप्पणी नहीं:

एक टिप्पणी भेजें