KABHI TOO THEHREGI AA KAR MUSKAAN MERE CHEHRE PAR
RAAT KI KAALIKH AUR GEHRANE DOO
AUR TEEVRATAR HONE DOO
PRAKASH KI KAAMNA ME KADWAHAT PEENE KI US SEEMA
TAK ABHYAST HONA CHAHTA HUN|
KI MITHASS BHI HOTH SIKODKAR PIYU |
KABHI NAA BHULTE HUE BEETE KAL KI YAADO KO
JISKI PRERNA SE MAI AAJ KO PAA SAKA HUN |
MAI NAHI BHULNA CHAHTA
UN KATHIN PADAVO KA ASTITVA JO UN LOGO SE MILI |
KEHNE KO HAI CHILHCILATI DHOOP
MAGAR YEH DE RAHA HAI MERE ANTAKARAN KO AANCH
AUR MAI USME TAP KAR HO RAHA HUN KANAK
SAMPURNA ROOP ME PURNRUPEN KANAK SURYA KI GATI KE SATH |
MAI NAHI KARTA YAKEEN JAMEEN KI SAMSYAYAO KAA AASMANI SAMADHAAN |
AUR BHULKAR SWAYAM KIUTPATTI AAKASH CHUNE KI KOSHISH ME|
MAI JAANTA HUN ,BHALI BHANTI SAMJHTA HUN
KI KABHI NAA KAR PAUNGAA KHITIJ SE SAKCHAATKAAR
MAGAR YAHI ANTHIN YATRA GATISHEEL Astitva pratiphal BADHYAEGA
MERA AATMVISHWAAS |
ATMAVISHVAAS SE BADI NAHI HAI KOI BHI RAAH,KARM SE
BADA NAHI HAI PRATIFAL |
MAI BADHNA CHAHTA HUN NIRANTAR , SAMAY KI DHADKAN KE SATH
PRATIPAL TEEVRATAR HOTI RAHE ,KHITIJ KO KAREEB AUR KAREEB DEKHNE
KI MERI LAALSA
KAANAK SHRIVASTAVA
Read Complete Poem/Kavya Here LAALSA
कोई टिप्पणी नहीं:
एक टिप्पणी भेजें