बुधवार, 16 दिसंबर 2015

MASOOM NAJARON KE ANMOL SAPNE....VIMAL SOLANKI

Ankhon ki nami me kuch chingari wo sanjoye hain,
roshni ki khoj me khud hi kahin wo khoye hain,
Dekh jagmagate shehron ko wo, haste hain kuch chupakar yu to
na kehte hain kuch, na chupate hi,
khuli najaron se khud hi kahin wo soye hain
Ankhon ki nami me…..

Chah bhi unki sab jaisi,
paane ki iksha bhi kuch aisi,
Majboor hain wo kamjor nahin, chupaye hain sapne wo chor nahin,
Sapnon ki aahat ke paani se,
aanchal wo apna bhigoye hain,
Ankhon ki nami me……

Dhanheen hain wo nirdhan nahin,
roshan bhi wo kuch kam nahin,
Nit ummid nayi, aasha bhi nayi,paane ki nit kuch chah bhi nayi,
par bhagya ki mala mai ashkon ke,
naajuk moti wo piroye hain
Ankhon ki nami me…….

Wo na jane tyohar hai kya,
ameero ka ajab vyohar hai kya,
Majboor hain wo darte nahin, diwali ko roshan karte nahin,
unhone fir fate kapde diwali par,
ragad ragad ke dhoye hain,
Ankhon ki nami me…..

Unka aapna parivar hai ek,
mandir hi bas sarkar hai ek,
Na darte hai khuda se, na sawal hi karte, pate hain jo bas sweekar hi karte,
Jo chaha hai wo mile na mile,
Is chah me wo khud kabhi na roye hai,
Ankhon ki nami me……

VIMAL SOLANKI

Share Button
Read Complete Poem/Kavya Here MASOOM NAJARON KE ANMOL SAPNE....VIMAL SOLANKI

कोई टिप्पणी नहीं:

एक टिप्पणी भेजें