बुधवार, 25 नवंबर 2015

Aankhon Ko Najaro Mein

Aankhon ko najaro mein ek kami si mehsus hoti he,
Yaadon ke panno pe nami si mehsus hoti he..
Lamhe kayi jo kaed hai deewaro pe,
Inhe dekh kyun un-kahi kahaniyan bayan hoti hai..
Dil ke gheraiyon pe na jane aaj kaise?
Kisi meherbann ki dastak hoti he..
Duriyon ke ehsaas ki khalish hi he jo,
Ab dhadkano ko har aahat pe khushi hoti he..
Sookhe phoolo ki saundhi si mehek ke saath,
‘Gul’ ki rumaani dastan shuru hoti he..
Aankhon ko najaro mein ek kami si mehsus hoti he,
Yaado ke panno pe nami si mehsus hoti he..

Share Button
Read Complete Poem/Kavya Here Aankhon Ko Najaro Mein

कोई टिप्पणी नहीं:

एक टिप्पणी भेजें