बुधवार, 25 नवंबर 2015

Na Talab Na Khwahish

Na talab ab hume aise kisi ehsaas ki,
Jo sookhi zameen pe phool khila jaye..
Na khwahish tere saath ki,
Jo hume humare saath le jaye…
Dhundh ke chhatt jane pe jo takdeer najar aayi he,
Arse baad zindagi ki saaf tasveer najar aayi he…
Na arzu ab kisi aise lamhe ki,
Jo thoda sa tujhse jod jaye…
Na kissa ab aisi koi ravaani ka,
Jo ek nayi dastaan bana jaye…
Dil ke har tukde se aaj fir chittkaar aayi he,
Ashant mann ki shanti mein ab yahi pukaar aayi he..
Na talab ab hume aisi kisi ehsaas ki,
Jo sookhi zameen pe phool khila jaye…
Na khwahish tere saath ki,
Jo hume humare saath le jaye…

Share Button
Read Complete Poem/Kavya Here Na Talab Na Khwahish

कोई टिप्पणी नहीं:

एक टिप्पणी भेजें