dekha tha jab usko pehli dafa
  pareshan si thi, thi thodi khafa
mausam us din kuchh ashiqana sa tha
  barish ki boondein thi rukne ka bahana sa tha
kinare khadi thi shayad tha kisika intezaar
  us aasmaan ki pari se mujhe ho gaya tha pyaar
bheegi si zulfe uske gaalo ko chumti thi
  sehmi si aankhein jane kisko dhundhti thi
chhoti si naak thi masum sa chehra tha
  un khubsurat labon pe khamoshi ka pehra tha
aage badhe ham thoda ab unke kareeb the
  unhone dekha hamein ham khushnaseeb the
hamein dekh apne paas wo haule se muskaai
  hamne bhi jawab mein apni palkein jhukaai
kehna tha bahut par lafzon ne sath na diya
  chhut gaya waqt hamse kismat ne hath na diya
tezi se ek sawari aakar unke samne ruki
  dekha unhone hamein or adab se jhuki
unki sawari ja chuki thi ham wahin khade nihaarte rahe
  us ek mulaqat ki yaadein hamare khwabon ko sanwaarte rahe…..

कोई टिप्पणी नहीं:
एक टिप्पणी भेजें