बुधवार, 25 नवंबर 2015

Muskurahat Ke Saath

Dard ki dastan wo nahin jo aansuo mein bayan ho jaye,
Ye toh muskurahat ke saath ubhar aati he..
Suraj-chand ki jugalbandi mein ye toh,
Dhalti badhti hui chali jati he..
Aaram ke palon ki khwahish mein ab toh,
Kabhi dimaag toh kabhi dil ke darwaazo pe dastak dene chali aati he..
Na mila use wo sukoon fir bhi,
To taaron ko apni baat sunati he..
Lamho mein kaed kuch silvato ke saath hi,
Wo to muskurahat ke saath ubhar aati he..

Share Button
Read Complete Poem/Kavya Here Muskurahat Ke Saath

कोई टिप्पणी नहीं:

एक टिप्पणी भेजें