बुधवार, 25 नवंबर 2015

Kuch Aur Hi Chahie

Chandni raato ko bhi dil ko roshni chahie,
Anokhe ehsaaso ke baad bhi mujhko kuch aur hi chahie…
Teri ungliyo mein uljhe mere mann ko toh,
Bas kisi sapne ki dor hi chahie..
Is dil ko dhadakne ke liye tu nahin,
Mann ka sukoon hi chahie…
Bebaak mere labon ko teri dastaan nahin,
Kisi unsune geet ke bol hi chahie…
Aankho ke pani ko rengne deti hoon main kyunki,
Inhe to bas mere gaalo ka ehsaas hi chahie…
Chandni raato ko bhi dil ko roshni chahie,
Anokhe ehsaaso ke baad bhi mujhko kuch aur hi chahie…

Share Button
Read Complete Poem/Kavya Here Kuch Aur Hi Chahie

कोई टिप्पणी नहीं:

एक टिप्पणी भेजें