बुधवार, 25 नवंबर 2015

Kabhi Naa

Zindagi ki safar mein,
Kabhi girti, kabhi roti, kabhi utthti, kabhi sambhalti..
Zindagi ki paheliyo ne uljha diya he mujhe,
Zindagi ki atkalo ne bhatka diya he mujhe..
Rote.. Girte.. Utthte.. Sambhalte..
Kitna kuch sikha diya he mujhe!!!
Us mod per jab ek aandhi si aayi,
Fir sab shant hua to socha,
Zara dhundhu kya he khoya..
Jab dekha jab parkha, to paya ki..
Bas khudko he khoya..
Is tuti dagar mein koi aas na bachi he,
Is luti zindagi mein ab koi saans na bachi he..
Zindagi ke safar mein…
Bas girti,
Bas roti,
Utthti par kabhi na sambhalti..
Kabhi Naa!! Kabhi Naa!!

Share Button
Read Complete Poem/Kavya Here Kabhi Naa

कोई टिप्पणी नहीं:

एक टिप्पणी भेजें