Hath hath mil bnti  muthathi,
  Log log mil bnti bhir
  Apno or satpath ke sath chlne me, Ho kbhi na adhir,
  Thoda tum chalo,thoda hum chale,milkar pragti ki rah pr sab chale,
  Ruke nhi jhuke nhi girne pr bhi sath rhe,
  Aaye agar asim wipada humpar, milkar hum sath lade
Ujiyara failane ko andhera mitane ko
  Shamaan se jine ki raah dikane ko
  Ud chale us anant gagan me, jaha manwata ki raah prakhar Ho,
  Sabhi me ho khushiyoo ki barish, sabhi kaam saral  Ho,
Ho jaha aisa aakash, khushiyoo ki faile Prakash
  Nayi raah pr chalne me,honge na kabhi hatash.
Gir kar uthna,uth kar chalna yahi hmari Sikh hai
  Rokane me takat kya, wighano me ab na tikh hai.
Ho agar sath apno ka, chlta rhta anwarat aage
  Kato me bhi raah banata, krodha kasht sab swayam bhage.
Tap krne ka dharid sanklp ho, ho agar maan me wishwas
  Milkar kre kuch aisa kaam ,jisse kre desh vikash,.

कोई टिप्पणी नहीं:
एक टिप्पणी भेजें