Main tere saath chalta raha …..
Jaane kyun tujhe ye ehsaas nahi…
uljhane aap hi badhaye jaa..
phir kahna main tere paas nahi..
mujhe dhundhne nikalta hai tu..
masjid,mandir,girijaghar,gurudware….
main to muskura leta hoon,
teri chand nek saanson ke sahare…
teri burayion ko tujh se juda karta hoon..
main to khuda hone ki keemat aada karta hoon…
tu mujhe kabhi arsh par kabhi farsh par..
apni sahuliyat se le aata hai…..
aata hai dar pe shanti ki khoj mein…
har baar saath shauhrat le jaata hai…
Sochta hoon koi to mujhse pooch to le….
Zindagi dene waale bata..
Main kaise ye zindagi jee loon..
Hans loon kuch manzar dekhkar..
ya jee bharkar ro loon..
tu manmane dhang se zindagi jeeta chala jaa raha…
phir kyun har dard par..
aye khuda..hey bhagwan…chilla raha..
muskurakar kabhi apne dil ko tatol lena..
Meri baat samajh aa jaaye..
to ye khoobsurat zindagi….
Ek baar ko mere hisaab se…
jee kar dekh lena………………..
मंगलवार, 15 सितंबर 2015
Main.....
सदस्यता लें
टिप्पणियाँ भेजें (Atom)

कोई टिप्पणी नहीं:
एक टिप्पणी भेजें