Ek raat mahasaagar kinare.
Prasidh chinchilad ke dware.
Manoranjan, somras mai lipt,
Bheed mai hum aur hamare.
Madira ka aniyantrit paan, aur kuch bhi adharo se bakhan.
Karibiyayee tyohar sa nritya,
Mitra ka waha tha dhyan.
American gudiya ka man,
Na hosh, na lihaz aur na koi santulan.
Kabhi koi kabhi koi.
Aur ek uska dusman.
Wo girne ko hua ret par
U raat ne badli karwat
Dekha ye kah diya “u too big for him” sarpat
Itne mai sab kaanch sa toota.
Sakhi ka jwalamukhi u foota.
Titar bitar, sab hua waha se,aur hamara mitra bhi rootha.
Ye madira kyo haath badhaye,
Kyo ye apne peechhe aaye
Nahi chahiye iska saath.
Kah do jaha jana isko jaaye.

कोई टिप्पणी नहीं:
एक टिप्पणी भेजें