Khud ko khud k haal pr chhodne ki glti kru,
  Ya tujhe n bhool paane ke gam me afsos kru |
  Nafrat bhi kru to mai kisse kru,
  Aaj ye baat smjh me hi nahi aati ||
Kitni baaton ko dhundhali tasveer me dikha sku,
  Baatein jo hothon pr baithi hai usko kaise sja sku |
  Raah manjil me khoyi ya manzil raah me,
  Smjh n saki mai to kaise tujhe bta sku ||
Aaj jaane ku is dil me tanhai hai,
  Aaj beeti baaton ki kari frmai hai |
  Kahi n kahi dil me hr tasveer dhundhalipr rahi h,
  Is tanhai me lge ilzam ki hr baat tum pr aai hai ||
Mujhe ghayal kr gya wo, mujhe pagal kr gya wo,
  Chaain n mila phir bhi use, mujhe beghar kr gya wo |
  Saaun raaste to aaj bhi hai mere paas,
  Lkin un raahon se manzil alag kr gya wo ||

कोई टिप्पणी नहीं:
एक टिप्पणी भेजें