बुधवार, 21 अक्तूबर 2015

na jane konsi wo kahani hai..!!

sadiyo purani ek kahani hai..
na chahte huye bhi dohrani hai..

wo baat hai mohabbat ki ya dosti..
nahi pata hai isiliye batani hai..

ek ehsaas ko na samaj paaya tha main..
kar betha tha us lamhe se pyar..

dil ki wo rah-gujar tumko sunani hai..
kitna majbur hua us pal k dard ko sehkar bhi..

tha ankaha per yahi meri jubani hai..
shayad yahi mujhe jatani hai..

ek phul gulab ka jo dum tod chuka hai kitabon mein..
samaj nahi aata kiski nishaani hai..

Share Button
Read Complete Poem/Kavya Here na jane konsi wo kahani hai..!!

कोई टिप्पणी नहीं:

एक टिप्पणी भेजें