मंगलवार, 18 अगस्त 2015

BAHTA PANI

DHIRE-DHIRE BAHTA PANI
JUD KAHANI KAHTA PANI
DALDAL BANTA SUKHA PANI
FIR BHI JIVAN RAHTA PANI

JIN AANKHO ME TAR THA PANI
UN AANKHO KA SUKHA PANI
SARMO AAB HYA KI SIDI
SIR SE PAAV UTRA PANI

GHAR AANGAN KE SAGAR ME BHI
KITNI NADIYA BAHTA PANI
KAHIN CHADA UTRAL TARANGE
KAHIN GARAT ME GHTA PANI

GHADIYALI AANKHO KE AANSHU
HASNTE-HASNTE GIRTA PANI
JAMI BARAF KI CHATTAN ME
AANGARO SA BAHTA PANI

SAGAR NADIYA TAL-TALYA
SUKHI NAV TAHRTA PANI
SALO SAAL TARAS JATE HAI
DIN DO-CHAR OFANTA PANI

JIVAN KE RETILE TATT PAR
KAN-KAN GALTA RAHTA PANI
SUKH ME PANI DUKH ME PANI
JIVAN BHAR HAI MUKH ME PANI

Share Button
Read Complete Poem/Kavya Here BAHTA PANI

कोई टिप्पणी नहीं:

एक टिप्पणी भेजें