Aye zindagi tere chehre hazar
  Hansaye kabhi to kabhi rulaye zar zar
  Samajhna tujhe aasan nahi ,
  Kahin hotee hai rukhsat,
  To kahin laatee hai bahar
  Dikhaatee hai kabhi veeraanio ke aasar,
  Toofano se bhi kabhi karatee hai paar
  De detee hai kabhi Ashq beshumar,
  Lutatee hai kabhi Pyar hi Pyar
  Kabhi rah jaatee hain hasrate Kayee ,
  Kahan aata hai phir zindagi mein Khumar.
  Khetye rahte hain kashtee ,
  Ki utrenge paar
  Le jaatee hai Kahin aur
  Hamen umangon ki dhaar.
  Ho jaata hai Khada kabhi beda manjhdhar,
  Aur Kheyne ko nahi Milta patwar.
  Aye zindagi tere chehre hazar
  Beetey palon per na tha Ikhtiyar ,
  Aane wale palon ka rahta intizar.
  Beet jata hai jeewan ,ho jaisee bahar,
  Nahi aata kabhi jeewan mein karaar .
  Rahe kabhi tamannaon se dil gulzar,
  Woh khilaye phool phir beshumar.
  Yeh chahaton rahaton ka hai bazar,
  Phir bhi chain nahi hota shumar.
  Baharon ka har pal rahta intizar,
  Palon hi palon mein kho jata sansar
  Aye zindagi tere Chehre
  Kabhi hansaye to kabhi rulaye zar 
Poem by
  Kiran Gulati 

कोई टिप्पणी नहीं:
एक टिप्पणी भेजें