सोमवार, 24 अगस्त 2015

Wo ek prinda
Jo aag lagata chala gya
Apni dard kahani se
Khud m dubata chala gaya
Na jane kb hum
Uski yaado m khone lage
Pr wo sagar tha aisa
Jo pyas badhata chala gya
Dil ki gahriyo m
Jajbato to chipata chala gya
Sath tha bs tho palo ka
Phir b dil m samata chala gaya
Na jane phir kya bat thi Usme wo sanso se dhadkan churata chala
gya
Aawara badal tha wo
Ehsas se apne bhigata chala gaya
Wo sagar ko bhar k
Aankho ko sukhata chala gaya
Phoolo se khusbu ko
Churata chala gaya
Aane ki khabar na di
Jane ka kissa sunta chala gaya
Use jindgi ki kitab kya di
Wo to use b jalata chala gya
Wo rahi tha sadiyo ka
Mujhko b chalna sikhata chala gaya
Bhichadne ka dard to tha
Manjil ki chah ko bhadata chala gya
Wo ehsas h mera
Jo dil se rista nibhata chala gya
Wo ek prinda
Jo mujhe mujhse milata chala gaya….

Share Button
Read Complete Poem/Kavya Here

कोई टिप्पणी नहीं:

एक टिप्पणी भेजें