सोमवार, 27 जुलाई 2015

apnapan

jab se mila hun tumse accha lagta hai
har chehre me tera hi accha lagtaa hai
har ek dhaage par chaap hai tera
mere har khoon par khusboo hai teri
phata hi sahi par maa kaa daaman accha lagta hai |
iske pehle aur uske baad ki sudh tumne li hai meri
maanta hun, jaanta hun mai aur sirf mai yaa tum
mere baare mee puchnaa , jhakna yeh dheere dheere accha lagta hai
baar baar too tum dikhti nahi
phir bhi tumhara ehsaan accha lagta hai|
chalo chodho ab phir mujhe dekho
ab thoda bada ho gaya hun mai
ek baar phir mujhe parkho
tumhara is baat par baar baar muskurana accha lagta hai
yadi nahi maanti ki mai ab ho gaya bada too naa maano
tumhare liye mai chotaa hi sahi par ab too maano
tumhara mujh par itna sneh accha lagta hai

kaanak shrivastava

Share Button
Read Complete Poem/Kavya Here apnapan

कोई टिप्पणी नहीं:

एक टिप्पणी भेजें