PYARR VRIKHSA KI DAAL PAR BAITHA KOI PAKSHI TOO NAHI |
  KI JAMANE NE PATHHAR CHALAYA AUR PHURR SEE UDD GAYA |
  P[YAAR KISI PATTE PAR GIRI OS KI BUND TOO NAHI
  KI SURAJ KI PEHLI KIRAN NE SEHLAYA AUR CHUPCHAAP WOH PIGHAL GAYA |
  PYAAR KISI MITTI KA DHELA TOO NAHI , KI TUMNE JAHA JOR SE DABAYA
  MASLA AUR WOH HAWA MEE UDA DIYAA |
  PYAAR KISI KI DI HUI ROTI KA TUKDA TO NAHI
  KI TUMNE MEHNAT SE KAMAYA, AANTO MEE KULBULAYA AUR EK DIN
  KI TAAKAT DEKAR PHATT SE FANA HO GAYA |
  PYAAR KYAA HAI PHIRR PUCHAA KAANAK NE
  ARE PYAAR KOI SHABD TOO NAHI  KI SHANDKOSH UTHAYA
  AUR KISI KAAGAZ PAR UTAAR DIYA |
  PYAAR TO KOI BADA PED HAI SHAYAD
  JISKI JADE GEHRI HAI
  BEEJ KA TO ATA PATA NAHI HAI
  YEH DHEERE DHEERE FALTA FULTA HAI HUMARE BHETAR
  NAFRAT AUR DURIYO KO TODTA HAI HUMARE BHETAR
  NADI KE UFAAN KA YEH EK SAMAYA HAI
  YAHI HUMARA AUR TUMHARA SARMAYA HAI |
KAANAK SHRIVASTAVA
Read Complete Poem/Kavya Here PYAAR
कोई टिप्पणी नहीं:
एक टिप्पणी भेजें