hum chahe jitna
  padh likh leyen
  duniyan ghoomleyen
  doston-parichiton ki teem khadi kar leyen
  har jagah umra ki bujurgiyat
  bahoot mayane rakhati hai…
manta hoon,
  bhavan ki chamak
  eent ki bani deevaron se hoti hai
  magar, ve deevaren bhi
  pattharon ki neev par hi khadi hoti hain
  aur patthar ek din mein nahin taiyar hote…   
tamaam sardi-garmi-barsaat
  jhel chuke darakht
  aandhiyon mein bhi jaldi nahin jhukte
bhavishya ka bhavishya
  jahan tika rahata haibeete vartman par
  vahin vartman kr liye bhi
  beete kalka saath jaroori hota hai…
jo,kal ke liye
  kal ko saath lekar nahin chalte
  unka aaj bhi sadaiv
  sashankit bana rahata hai….

कोई टिप्पणी नहीं:
एक टिप्पणी भेजें