Meri aawaz sunkar ke tumhara jee behalta hai
  Tumhari in adaon par humara dum nikalta hai
Meri khamoshiyon ko jab se tera dil samajhta hai
  tujhe paane ko tab se sir mera sajde mein jhukta hai
Hamari har pareshani ka tujhko ilm hota hai
  Teri bechaniyon ke sath mera dil bhi rota hai
Meri dulhan tu hai hai dil ko guman ye roz hota hai
  Mere khwabon mein teri maang mein sindoor hota hai
Abhi se dil mera tujhko mera humdum samjhta hai
  tere dil se zara sa puch mujhko kya samajhta hai

कोई टिप्पणी नहीं:
एक टिप्पणी भेजें