24-1-2006, wo parmatma mai vileen ho gaye, mera man ghat se aane ke baad byakul tha, aur sab mrida matra lag raha tha, aur lagta hai dhara ka koi satya nahi, sab parivartansheel hai… vishay, karm, riwaj aur graho ki gati….
Satya hai is dhara par kuch nahi
siway us ajey mratyu ke
janm sach nahi, karm sach nahi
ye samajik bandhan aur riwaj.
saathi sach nahi, saadi sach nahi
sach nahi ye pran aur priwar
manjil sach hai sabki adig
ye mratyu ki dhaar
bhugol sach nahi, ganit sach nahi
aur jhoota hai vigyan
tab jeewan ka arth samjhenge
jab mratyu ka paye gyan
khyati, kukhyati, log bhati bhati
bade gajraj-hwel se lekar choti piplika pati
sabki manjil ek hai chahe
kuch ho pad, vyasaay aur dharm ya jaati
ladayee jhagde, irsya-dwesh
krodh-kaam aur lobh moh
nashwar unmad ye hai fir bhi
kuch pane ke liye vidroh.
dhan aur daulat chalte hai tab tak
saans barabar chalti hai
fir aapke liye, achal hai
duniya is par palti hai
aaye ram, wo bhi chale gaye
niyamo se prakriti ke
niyati ka ye palan karna tha
wo bhi mitti ke akiriti the.

कोई टिप्पणी नहीं:
एक टिप्पणी भेजें